Sunday, October 9, 2011

Ek sham Doston ke Nam

Ek Sunahari sham,
Galiyate Doston ka pagla aavam !!

Khula aasman.
Hari-hari ghas ka ubad-khabad maidan.
Dhime-dhime thirakti hawaon ka madhur nrityagan.
Thanda, Madhh aur chakhne ka utam pravadhan.
Sadak kinare jalte Street Light se,
Candle light dinner wala avsan .

Bangla,Hindi,English ka madhur sanyog tha.
Vyakul premiyo ka hansta-rota viyog tha.

Class se lekar US tak ka gyan tha.
Harivansh ray Bachhan ki "Madhusala" ka yahi to vyakhayan tha.

Milne-milane ka andaz nirala tha,
Galen-shikwen bhulane ka sabse sugam hala tha.

Chand ko prithvi par lane ki batein thi,
Kabhi alag na hone ki "stupid" jasbatein thi.

Yah mastano ka inkalab tha,
kabhi na pura hone wala manchala khayal tha.

Is hangame mai sab "Force" tha.
Par age badhne ka ab na koi "Source" tha .

This poem is dedicated to my friends at Jalpaiguri Govt. Engg College.

Friday, October 7, 2011

Tata Jagriti Yatra'10

Jagriti yatra ek anubhut yatn tha,
Matvalo ko jodne ka safal prayatan tha.

Man mai visvas tha
Logo mai utsah tha
4000 km ki Jagriti yatar ka,
Ek alag hi andaz tha.

Train mai chahakti rate thi.
Role-Models ki joshili bate thi.

Swadista vayanjano ka bharmar tha.
Rahne khane pine ka anutha vyavadhayan tha.

Vividhtayo ka madhur mail tha.
Sikhne-Sikhane ka relam-rail tha.

Panel-Discussion mai tript karti payalen thi.
Abhilashit yatrio ki utkandhit sawalein thi.

"Udham Janit Vikas" ka yah nara tha,
Bharat se Garibi , Ashiksha aur Berozgari ,
Bhagane ka safal irada tha.

Jagriti yatra ek anubhut yatn tha,
Matvalo ko jodne ka safal prayatan tha.

Thursday, October 6, 2011

ZINDAGI

Zindagi ek jang hai !!
kahi chahakta umang hai,
To kahi dahaakta gam hai !!

Kahi 2G,3G aur postal ghotala hai,
To kahi aatamhatyao ka bolbala hai !!

Kahi "Shining India" ka nara hai ,
To kahi Roji-Roti ka bhi na sahara hai !!

Kahi IT Industry ka udata pataka hai
To kahi berozgaro ka uthta janaza hai !!

Kahi Steves ke IPad ka Huddhang hai,
To kahi AIDS aur Cancer pidito ka jang hai !!

Kahi Abroad jane ka ghamashan hai ,
To kahi khud se ladta insan hai !!

Kahi FMCG ka badhta prapanch hai,
To kahi badh aur sukha ka na koi aant hai !!

Kahi Indira Nooyi aur Chanda Kochar ka yashashvi abhiyan hai,
To kahi Sita,Rita aur Gita ka rudragan hai !!

Zindagi ek jang hai !!
kahi chahakata umang hai,
To kahi dahaata gam hai !!

Sunday, October 2, 2011

DARD

Dard ek ahsas hai !!

Aane wali khusiyo ka karar hai !!

Do premiyo ke milan ka intazar hai !!

Mamtamaye Ma ke aashuyon ka pravah hai !!

Khun se lathpath sainik ka hunkar hai !!

Dhad se alag memne ka kahar hai !!

Bharastachar se aakroshit aamlogo ka Lokjanpal abhiyan hai !!

Baris ke intazar mai baithe kisano ka rudragan hai !!

Saturday, September 10, 2011

CHAHAT


Ek sama jalana chahta hu,

Logo ko jagana chahtu hu,

Aasma ke upar apna ghar banana chahta hu,

Har dard ko apnana chahtu hu,

Khusiyo ko lutana chahta hu,

Har ghar mai gyan ki jyoti jalana chahta hu,

Apne Ma ke dard ko bhulana chahta hu,

Har gaon tak aspatal pahuchana chahta hu,

Bihari Marathi ke bhed-bhav ko mitana chahta hu,

Ek sasakt Bharat banana chahta hu .