Sunday, October 9, 2011

Ek sham Doston ke Nam

Ek Sunahari sham,
Galiyate Doston ka pagla aavam !!

Khula aasman.
Hari-hari ghas ka ubad-khabad maidan.
Dhime-dhime thirakti hawaon ka madhur nrityagan.
Thanda, Madhh aur chakhne ka utam pravadhan.
Sadak kinare jalte Street Light se,
Candle light dinner wala avsan .

Bangla,Hindi,English ka madhur sanyog tha.
Vyakul premiyo ka hansta-rota viyog tha.

Class se lekar US tak ka gyan tha.
Harivansh ray Bachhan ki "Madhusala" ka yahi to vyakhayan tha.

Milne-milane ka andaz nirala tha,
Galen-shikwen bhulane ka sabse sugam hala tha.

Chand ko prithvi par lane ki batein thi,
Kabhi alag na hone ki "stupid" jasbatein thi.

Yah mastano ka inkalab tha,
kabhi na pura hone wala manchala khayal tha.

Is hangame mai sab "Force" tha.
Par age badhne ka ab na koi "Source" tha .

This poem is dedicated to my friends at Jalpaiguri Govt. Engg College.

4 comments:

bubka said...

small input from my end. not necessarily u have to match the rhyme; for me it took a bit time to grasp :) really like this nostalgic effort!!!!

Unknown said...

@Disari .Thanks for your suggestion if you are talking about rhyme to ye english ka problem hai and it'll create more problem specially for you.

Shashi said...

Bhaiya, right now i m 2nd year IT student in Jalpaiguri Government Engineering College.
I m also dedicating few lines to JGEC:
Raat ke us andher me,
jagmagate halogen se,
roshan mera college campus hai,
indra bhi dekhta hoga swarga se,
kehte usey maine suna hai,
kaash ke mera snatak hota yaha se.

that's it, par apke kavita ke un panktiyo ne mera man moh liya. Ultimately i'll say "ITS FABOULOUS".

Sandeep Soni said...

This is very good...